UK Health Care Visa Documents Checklist 2026 - Kaunse Kaghaz Chahiye? Full List
UK Health Care Visa Ke Liye Kaghaz Konse Chahiye? 2026
Agar aap Pakistan se UK me Nurse, Care Worker ya Doctor ban kar jana chahte hain to ye visa aapke liye hai. Is visa par UK jana sab se asan hai. Lekin kaghaz pure hone chahiye.
1. Certificate of Sponsorship (COS)
Ye sab se pehla kaghaz hai. UK ki company ya hospital aapko ye dega. Is par ek number likha hota hai. Iske bagair visa nahi lagega.
2. IELTS ya English Ka Saboot
Aapko English ka test dena hoga. IELTS me 4.5 number lena zaroori hai. Agar aap nurse hain to OET bhi chalega.
3. Bank Statement
Aapke bank me 28 din tak 1270 Pound hona chahiye. Matlab Pakistan ke taqreeban 4.5 lakh rupay.
4. Police Clearance Certificate
Ye aapke ilaqe ke Police Headquarter se banta hai.
5. TB Test Report
Ye test sirf Islamabad ya Lahore ke IOM center se hota hai.
6. Taleemi Kaghaz
Aapki degree, diploma aur tajurbe ke kaghaz.
Galti Se Bacho
Jhooti COS kabhi na lena. UK wale 2 minute me pakad lete hain.
Meri Baki Post Bhi Padho
UK Visa Me 3 Galtiyan - https://uksimpleguide2026.blogspot.com/2026/09/uk-visa-2026-ye-3-galtiyan-karne-se-100.html
UK Me Grocery Ka Kharcha - https://uksimpleguide2026.blogspot.com/2026/09/uk-me-grocery-ka-kharcha-2026-1-mahine.html

Comments
Post a Comment